Chandni Aaya Hai Tera Deewana

de Udit Narayan

(Deewana tera hai, kasam yehi khaaye
Tere kadmon mein jhoomti bahaare bichha doonga
Jo tu mil jaaye, gazab ho jaaye
Teri duniya mein khushiyon ke mele laga doonga) - 2
O haseena, saath jeena, dosti ka haath de de
O haseena, dil jo chheena, dosti ka haath le le
Deewana tera hai, kasam yehi khaaye
Tere kadmon mein jhoomti bahaare bichha doonga
Jo tu mil jaaye, gazab ho jaaye
Teri duniya mein khushiyon ke mele laga doonga
(Aasmaanon pe yehi hai likha
Naam tera hi hai mujhse juda) - 2
Tu to pad karke bhi anjaan hai
Yeh sataane ki hi pehchaan hai
Zid yehi hai, tu meri hai
Aarzoo yeh aakhri hai
Hai bada mushkil meri jaan tujhko samjhaana
Deewana tera hai, kasam yehi khaaye
Tere kadmon mein jhoomti bahaare bichha doonga
Jo tu mil jaaye, gazab ho jaaye
Teri duniya mein khushiyon ke mele laga doonga
(Aap is dil ko dukhaate hai kyoon
Door yun katraake jaate hai kyoon) - 2
Kuch kami hum mein jo ho to bata de
Hum to khud ko bhi badalke dikha de
Baat jo bhi aap ki hai
Sar jhukaake maan li hai
Pyaar itna karne waala paayenge kahan
Deewana tera hai, kasam yehi khaaye
Tere kadmon mein jhoomti bahaare bichha doonga
Jo tu mil jaaye, ghazab ho jaaye
Teri duniya mein khushiyon ke mele laga doonga
O haseena, saath jeena, dosti ka haath de de
O haseena, dil jo chheena, dosti ka haath le le

Más canciones de Udit Narayan