Lal Chunariya Odh Ke

de Lata Mangeshkar

gori odh ke malmal nikli haay
gori odh ke malmal nikli ke dil mera mal-mal gayi
are re re ke dil mera mal mal gayi
dekho dekho ke dil mera mal mal gayi
ye kiski najariyaa machali ho
ye kiski najariyaa machali chunar meri Dhal Dhal gayi
are raama chunar meri Dhal Dhal gayi
dekho dekho chunar meri Dhal Dhal gayi

o pag uljhe mera dil dhadke - 2
nas nas mein shola bhadke - 2
bal khaaye kamariyaa mori ho
bal khaaye kamariyaa mori to kaahe jee bekal pad gaye
are raama to kaahe jee bekal pad gaye
dekho dekho to kaahe jee bekal pad gaye ho jee
ik dil hi bekal nahi gori haay
ik dil hi bekal nahi gori ke pagdi mein bal pad gaye
are re ke pagdi mein bal pad gaye
o dekho ke pagdi mein bal pad gaye ho jee

ho chhod mohe tera haath jale - 2
are vaah ab to chaahe talvaar chale - 2
haay chhod de mera raastaa ho
haay chhod de mera raastaa ke gaali duungi chun chun ke
are raamaa ke gaali duungi chun chun ke
dekho dekho ke gaali duungi chun chun ke ho jee
raani chalo na bajaati bichhua ho
raani chalo na bajaati bichhua zehar chade sun sun ke
are re re zehar chade sun sun ke
dekho dekho zehar chade sun sun ke ho jee

o utraa utraa roop hai kyu - 2
bolo chadhati dhuup hai kyu - 2
kin galiyon se hokar aayi ho
kin galiyon se hokar aayi ke mukh tera maila hai
are re re ke mukh tera mailaa hai
o dekho dekho ke mukh tera mailaa hai ho jee
jab se tuune aankh ladaai ho
jab se tuune aankh ladaai kaajar mera phaila hai
are raama kaajar mera phailaa hai
dekho dekho kaajar mera phailaa hai ho jee

Más canciones de Lata Mangeshkar