Janu Meri Jaan - From "Shaan"

de Lata Mangeshkar

Ishq walon se na poocho
Ke unki raat ka aalam
Tanha kaise guzarta hai
Juda ho humsafar jiska
Wo usko yaad karta hai
Na ho jiska koi
Wo milne ki fariyad karta hai

Salaam-e-ishq meri jaan
Zara kubool kar lo
Salaam-e-ishq meri jaan
Zara kubool kar lo

Tum humse pyar karne ki
Zara si bhool kar lo
Mera dil bechain hai
Mera dil bechain hai humsafar ke liye
Mera dil bechain hai humsafar ke liye

Salaam-e-ishq meri jaan
Zara kubool kar lo
Tum humse pyar karne ki
Zara si bhool kar lo

Mera dil bechain hai humsafar ke liye
Mera dil bechain hai humsafar ke liye
Salaam-e-ishq meri jaan
Zara kubool kar lo

Main sunaaun tumhe baat ik raat ki
Main sunaaun tumhe baat ik raat ki
Chaand bhi apni poori jawani pe tha
Dil mein toofan tha, ek armaan tha
Dil ka toofan apni rawani pe tha

Ek baadal udhar se chala jhoomke
Ek baadal udhar se chala jhoomke
Dekhte dekhte chaand par chha gaya
Chaand bhi kho gaya uski aaghosh mein
Uff ye kya ho gaya josh hi josh mein

Mera dil dhadka
Mera dil tadpa kisi ki nazar ke liye
Mera dil tadpa kisi ki nazar ke liye

Salaam-e-ishq meri jaan
Zara kubool kar lo

Haan aan

Iske aage ki ab daastan mujhse Sun
Sunke teri nazar dab daba jayegi
Baat dil ki jo ab tak tere dil mein thi
Mera davaa hai honthon pe aa jayegi

Tu maseeha mohabbat ke maaron ka hai
Maseeha maseeha mohabbat ke maaron ka hai
Tu maseeha mohabbat ke maaron ka hai
Hum tera naam sunke chale aaye hai
Ab dawa de humein ya tu dede zehar
Teri mehfil mein yeh diljale aaye hai

Ek ehsaan kar, ehsaan kar
Ek ehsaan kar apne mehmaan par
Apne mehmaan par ek ehsaan kar

De duayein
De duayein tujhe umr bhar ke liye
De duayein tujhe umr bhar ke liye

Salaam-e-ishq meri jaan
Zara kubool kar lo
Tum humse pyar karne ki
Zara si bhool kar lo

Mera dil bechain hai humsafar ke liye
Mera dil bechain hai humsafar ke liye

Salaam-e-ishq meri jaan
Zara kubool kar lo

Más canciones de Lata Mangeshkar