Har Dil Jo Pyar Karega

de Lata Mangeshkar

Har dil jo pyaar karega, voh gaana gaayega - 2
Deewana sekdon mein pehchaana jaayega - 2
Deewana
Aap hamaare dil ko churaakar aankh churaaye jaate hain
Yeh ek tarfa rasm-e-vafa hum phir bhi nibhaaye jaate hain
Chaahat ka dastoor hai lekin aap ko hi maaloom nahin, o
Jis mehfil mein shamma ho parwaana jaayega
Deewana sekdon mein pehchaana jaayega
Deewana

Har dil jo pyaar karega, voh gaana gaayega
Deewana sekdon mein pehchaana jaayega
Deewana
Bhooli bisri yaadein mein hanste gaate bachpan ki
Raat beraat chali aati hai neend churaane nainan ki
Ab keh doongi karte karte kitne saawan beet gaye, ho
Jaane kab in aankhon ka sharmaana jaayega
Deewana sekdon mein pehchaana jaayega
Deewana

Har dil jo pyaar karega, voh gaana gaayega
Deewana sekdon mein pehchaana jaayega
Deewana
Apni apni sabne keh li, lekin hum chupchaap rahe
Dard paraaya jisko pyaara, voh kya apni baat kahe
Khaamoshi ka yeh afsaana reh jaayega baad mere, o
Apna ke har kisi ko begaana jaayega
Deewana sekdon mein pehchaana jaayega

Har dil jo pyaar karega, voh gaana gaayega
Deewana sekdon mein pehchaana jaayega

Deewana

Deewana

Más canciones de Lata Mangeshkar