Ek Tu Hi Bharosa (From "Pukar")

de Lata Mangeshkar

--FEMALE--
Aa jaa ke kab milke rab se dua maange
Jeevan mein sukoon chaahe, chaahat mein vafa maange
Haalaat badalne main ab der na ho maalik
Jo de chuke phir yeh andher na ho maalik

--CHORUS--
Ek tu hi bharosa, ek tu hi sahaara
Is tere jahan mein nahin koi hamaara
(Eeshwar ya allah, yeh pukaar sun le
Eeshwar ya allah hai daata) - 2

--FEMALE--
Ek tu hi bharosa, ek tu hi sahaara
Is tere jahan mein nahin koi hamaara
(Eeshwar ya allah, yeh pukaar sun le
Eeshwar ya allah hai daata) - 2
Humse na dekha jaaye barbaadiyon ka sama
Ujdi hui banti mein yeh tadap rahe insaan

--CHORUS--
Humse na dekha jaaye barbaadiyon ka sama
Ujdi hui banti mein yeh tadap rahe insaan

--FEMALE--
Nanhe jismon ke tukde liye khadi hai ek maa
Baarood ke dhuen mein tu hi bol jaaye kahan

--CHORUS--
Ek tu hi bharosa

--FEMALE--
Ek tu hi sahaara

--CHORUS--
Is tere jahan mein

--FEMALE--
Nahin koi hamaara

--CHORUS--
Eeshwar ya allah, yeh pukaar sun le
Eeshwar ya allah hai daata

--FEMALE--
Eeshwar ya allah, yeh pukaar sun le
Eeshwar ya allah hai daata
Naadaan hain hum to maalik, kyoon di hamein yeh saza
Yahan hai sabhi ke dil mein nafrat ka zaher bhara

--CHORUS--
Naadaan hain hum to maalik, kyoon di hamein yeh saza
Yahan hai sabhi ke dil mein nafrat ka zaher bhara

--FEMALE--
Inhe phir se yaad dila de sabak vohi pyaar ka
Ban jaaye gulshan phir se kaanton bhari duniya
Ek tu hi bharosa, ek tu hi sahaara
Is tere jahan mein nahin koi hamaara
Eeshwar ya allah, yeh pukaar sun le
Eeshwar ya allah hai daata

--CHORUS--
Eeshwar ya allah, yeh pukaar sun le
Eeshwar ya allah hai daata

--FEMALE--
(Meri pukaar sun le)

--CHORUS--
Eeshwar ya allah, yeh pukaar sun le
Eeshwar ya allah hai daata

--FEMALE--
(Hey eeshwar ya allah)

--CHORUS--
(Eeshwar ya allah, yeh pukaar sun le
Eeshwar ya allah hai daata) - 3

--FEMALE--
(Meri pukaar sun le, meri pukaar sun le, meri pukaar sun le)

Más canciones de Lata Mangeshkar