Didi Tera Devar Deewana

de Lata Mangeshkar

didi tera devar deewana
hai ram, kudiyon ko daale daana
dhandha hai yeh uska puraana
hai ram, kudiyon ko daale daana

main boli ke laana tu imli ka daana
magar woh chuaare le aaya deewana
main boli ke machle hai dil mera haaye
woh kharbuja laaya jo neembu mangaaye
pagla hai koi usko bataana
hai ram, kudiyon ko daale daana

main boli ke laana tu mitti pahaadi
magar woh bataashe le aaya anaadi
main boli thi la do mujhe tu khataayi
woh baazar se le ke aaya mithaai
mushkil hai yoon mujhko phasaana
hai ram, kudiyon ko daale daana

bhabhi teri behna ko maana
hai ram, kudiyon ka hai zamaana
rabba mere mujhko bachaana
hai ram, kudiyon ka hai zamaana

hukum aapka tha jo maine na maana
khatavaar hoon main na aaya nibhaana
sazaa jo bhi dogi woh manzoor hogi
aji meri mushkil tabhi door hogi
bandaa hai yeh khudse begaana
hai ram, kudiyon ka hai zamaana

Más canciones de Lata Mangeshkar