Dil Ki Kahani Rang Layee Re (From "Chaudhvin Ka Chand'')

de Asha Bhosle

Teree talash mujhko layee kaha kaha se
sun le meraa fasana abb toh meree juban se
maine wahee wahee par sajde kiye hain tujhko
julfo ko tu udatee gujree jahan jahan se

iran hamne dekha, dekha hai chhin hamne
lekin kahee na dekha tujh sa hasin hamne
koyee bhee jab na paya tere mukabale ka
aawaj tujhko dee hai o najnin hamne
o yar julfowale dildar julfowale
julfo ne mujhko mara khamdar julfo vale
(jubane yar man turkee, ho man turkee namee danam
namee danam, namee danam, namee danam oy
jubane yar man turkee

o bewafa hasina, hatho me hath le le
kam aayega yeh tere, divana sath le le
divana koyee mujh sa tujh ko nahee mile ga
chahe toh ik najar me kul kaynat le le
o yar julfowale dildar julfo vale
julfo ne mujhko mara khamdar julfo vale
jubane yar man turkee, ho man turkee namee danam
namee danam, namee danam, namee danam oy
jubane yar man turkee

mastee me har kadam par gir kar teraa sambhalna
balkhana bankpan se julfo ka yeh machalna
mai toh har ik ada ko aankho se chum lunga
duniya bahut buree hai duniya se bachke chalna
o yar julfo vale dildar julfo vale
julfo ne mujhko mara khamdar julfo vale
(jubane yar man turkee, ho man turkee namee danam
namee danam, namee danam, namee danam oy
jubane yar man turkee

teree juban juda hai meree juban juda hai
par dil ko kaya karu mai dil tujh pe aa gaya hai
ik ishk hai kee jiska majhab nahee hai koyee
har rang aashqi me ik rang ho gaya hai
o yar julfo vale dildar julfo vale
julfo ne mujhko mara khamdar julfo vale
dildar julfowale
jubane yar man turkee, ho man turkee namee danam
namee danam, namee danam, namee danam oy
jubane yar man turkee

Más canciones de Asha Bhosle