Mere Humsafar

de Amit Kumar

Ha, ha ha ha ha ha, ha ha
Yeh raat yeh chaandni phir kahaan, sun jaa dil ki daastaan -2

Hm hm hm, hm hm hm

Hey pedo ki shaakhon pe
Pedo ki shaakhon pe soyi soyi chaandni, pedo ki shaakhon pe
Tere khayaalon mein khoyi khoyi chaandni
Aur thodi der mein thak ke laut jaayegi
Raat yeh bahar ki phir kabhi na aayegi
Do ek pal aur hai yeh samaa, sun ja dil ki daastaan

Hm hm hm, hm hm hm

Hey lehron ke hontho pe
Lehron ke hontho pe dheema dheema raag hai, lehron ke hontho pe
Bheegi hawaaon mein thandi thandhi aag hai
Is haseen aag mein tu bhi jalke dekhle
Zindagi ke geet ki dhun badal ke dekhle
Khulne de ab dhadkano ki zubaan, sun ja dil ki daastaan

Hey jaati bahaare hain
Jaati bahaare hain uthti jawaaniyan, jaati bahaare hain
Taaron ke chaaon mein pehle kahaaniyaan
(Ek baar chal diye gar tujhe pukaarke
Lautkar na aayenge qaafilen bahaar ke) -2
Aaja abhi zindagi hai jawaan, sun ja dil ki daastaan

Yeh raat yeh chaandni phir kahaan, sun jaa dil ki daastaan
Daastaan, daastaan

Más canciones de Amit Kumar